Saturday 15 February 2014

Wo BaateiN Teri, Wo Fasaane Tere,

 
Wo BaateiN Teri, Wo Fasaane Tere,
Shugufta Shugufta Bahaane Tere,

Bas Ek Daagh E Sajda Meri Kaainaat,
JabeeneiN Teri, Aastaane Tere,

Bas Ek Zakhm E Nazaara, Hissa Mera,
BahaareiN Teri, AashiyaaneiN Tere,

FaqeeroN Ki Jholi Na Ho Gi Thi,
HaiN Bhar-Poor Jab Tak KhazaaneiN Tere,

FaqeeroN Ka Jumghatt Ghari Do Ghari,
SharaabeiN Teri, Baada Khaane Tere,

Zameer Sadaf Mein Kiran Ka Muqaam,
Anokhe Anokhe Thikaane Tere,

Bahaar o KhizaaN Kam NigaahoN K Weham,
Bure Ya Bhale, Sab Zamaane Tere,

Adam Bhi Hai Tera Hikayat-Kadah,
KahaN Tak Gaye Fasaane Tere ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye,

 
 
Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye,
Bijli Gire To Jashn-E-Charaaghaan Manaayiye,

Kaliyon Ke Ang Ang Men Meethaa Saa Dard Hai,
Beemaar Nikhaton Ko Zaraa Gudgudaayiye,

Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat,
Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aayiye,

Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath,
Jee Chaahtaa Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaayiye,

Sun Kar Jise Havaas Men Thandhak Si Aa Base,
Aisi Koi Udaas Kahaani Sunaayiye,

Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain"Adam",
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaayiye ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Saghar Se Lab Laga Ke Bohat Khush Hai Zindagi ...


Saghar Se Lab Laga Ke Bohat Khush Hai Zindagi,
Sahan-E-Chaman Men Aa Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Aa Jaao Aur Bhi Zaraa Nazdeek Jaan-E-Man,
Tum Ko Qareeb Paake Bohat Khush Hai Zindagi,

Hotaa Koi Mahal Bhi To Kya Poochhte Ho Phir,
Be-Wajah Muskura Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Saahil Pe Bhi To Itni Shagufata Ravish Na Thi,
Toofaan Ke Beech Aa Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Veeraan Dil Hai Aur "Adam" Zindagi Ka Raqs,
Jangal Mein Ghar Bana Ke Bohat Khush Hai Zindagi ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Humein Gale Se Lagao Bahaar Ke Din Hain


Suboo Ko Daur Men Laao Bahaar Ke Din Hain,
Humein Sharaab Pilaao Bahaar Ke Din Hain,

Ye Kaam Aaeen-E-Ibaadat Hai Mausam-E-Gul Men,
Humein Gale Se Lagao Bahaar Ke Din Hain,

Thahar Thahar Ke Na Barso Umad Pado Yak-Dam,
Sitamgari Se Ghataaon Bahaar Ke Din Hain,

Shikasta-E-Taubaa Ka Kab Aisa Aaye Gaa Mausam.
"Adam" Ko Gher Ke Laao Bahaar Ke Din Hain ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Sooraj Ki Har Kiran Teri Soorat Pe Waar Doon ...


Sooraj Ki Har Kiran Teri Soorat Pe Waar Doon,
Dozakh Ko Chaahta Hoon Ki Jannat Pe Waar Doon,

Itni Si Hai Tasalli Ki Ho Ga Muqaabla,
Dil Kya Hai Jaan Bhi Apni Qayaamat Pe Waar Doon,

Ik Khvaab Tha Jo Dekh Liyaa Neend Mein Kabhi,
Ik Neend Hai Jo Teri Muhabbat Pe Vaar Doon,

"Adam" Haseen Neend Mile Gi Kahaan Mujhe,
Phir Kyoon Na Zindagaani Ko Turbat Pe Waar Doon ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain ...


Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain,
  Lekin Chaman Ke Khaar Bhi Ab Tak Paraaye Hain, 
 
Us Par Haraam Hai Gham-E-Dauraan Ki Talkhiyaan,
Jis Ke Nasib Men Teri Zulfon Ke Saaye Hain,
 
Mahshar Men Le Gai Thi Tabiyat Ki Saadagi,
 Lekin Bade Khuloos Se Ham Laut Aaye Hain,
 
Aayaa Hoon Yaad Baad-E-Fanaa Un Ko Bhi 'Adam',
Kyaa Jald Mere Seekh Pe Imaan Laaye Hain ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye ...


Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye,
Mera Khayaal Hai Ki Vo Insaan Ban Gaye,

Ham Hashr Men Gaye Magar Kuchh Na Poochhiye,
Vo Jaan Boojh Kar Vahaan Anjaan Ban Gaye,

Hanste Hain Ham Ko Dekh Ke Arbaab-E-Aagahi,
Ham Aap Ki Mizaaj Ki Pahchaan Ban Gaye,

Majhdhaar Tak Pahunchana To Himmat Ki Baat Thi,
Saahil Ke Aas Paas Hi Toofaan Ban Gaye,

Insaaniyat Ki Baat To Itni Hai Shaikh Ji,
Bad-Qismati Se Aap Bhi Insaan Ban Gaye,

Kaante Bahut The Daaman-E-Fitrat Men Ay "Adam",
Kuchh Phool Aur Kuchh Mere Armaan Ban Gaye ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Kitne Haseen Ayyaam Thay ...


Jab Gardishon Mein Jaam Thay,
Kitne Haseen Ayyaam Thay,

Ham Hi Na The Rusvaa Faqat
Vo Aap Bhi Badnaam Thay,

Kahte Hain Kuchh Arsaa Huaa
Kaabe Men Bhi Asnaam Thay,

Anjaam Ki Kyaa Sochte
Naa-Waaqif-E-Anjaam Thay,

Ahad-E-Javaani Men "Adam"
Sab Log Gul-Andaam Thay ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do


Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Baada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do,


Talkhi-E-Hosh Ho Yaa Masti-E-Idraak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do,


Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd,
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do,


Jaagne Vaalon Ka Toofaan Se Kar Do Rishta,
Sone Vaalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do,


Meri Taubaa Kaa Bajaa Hai Yahi Ejaaz "Adam"
Mera Saaghar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do ...


Poet : Abdul Hameed Adam

Kahaan Jaa Rahe Ho Savere Savere ...


Ay May-Gusaaro Savere Savere,
Kharaabat Ke Gird Phere Pe Phere,


Bari Roshni Bakhshte Hain Nazar Ko,
Tere Gesuon Ke Muqaddas Andhere,


Kisi Din Idhar Se Guzar Kar To Dekho,
Badi Raunaqen Hain Faqeeron Ke Dere,


Gham-E-Zindagi Ko "Adam" Saath Lekar
Kahaan Jaa Rahe Ho Savere Savere ...


Poet : Abdul Hameed Adam

Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe,


Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe,
Dil Ki Aahat Se Teri Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Yaa Samaat Ka Bharam Hai Yaa Kisi Naghmen Ki Goonj,
Ek Pahchaani Hui Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Kis Ne Khola Hai Havaa Men Gesuon Ko Naaz Se,
Narm-Rau Barsaat Ki Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Us Ki Naazuk Ungliyon Ko Dekh Kar Aksar"Adam",
Ek Halki Si Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote


Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote,,
Baagh Men Phool Khil Gaye Hote,,

Aap Ne Yoon Hi Ghoor Kar Dekhaa,,
Honth To Yoon Bhi Sil Gaye Hote,,

Kaash Ham Aap Is Tarah Milte,,
Jaise Do Vaqt Mil Gaye Hote,,

Ham Ko Ahl-E-Khirad Mile Hi Nahi,,
Varnaa Kuchh Munfail Gaye Hote,,

Us Ki Aankhen Hi Kaj-Nazar Thin "Adam"
Dil Ke Parde To Hil Gaye Hote ...

Poet : Abdul Hameed Adam

Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein ...

 
Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein ...
( Muqalma Larka or Larki K Darmiyan Muhabbat Chal Rahi Hai Lekin Ik Aisa Mor Aaya
Jb Larki Larkay Se Kehti Hai )
Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein
Hamari Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?
Koi Aaira Gaira Aaye Ga Lay Janay Mujh Ko
Apne Hathon Say Doli Bithao Gay To Kesay ?
Tum To Iqraar-e-Muhabbat Bhi Khul K Na Ker Sakay
Apnay Ghar Walon Ko Mera Batao Gay To Kesay ?
Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein
Hamari Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?
(Ab Kuch Din Guzartay Hen, Shadi Ka Waqt Tay Ho Chuka Hai, Sab Tayyariyan Ho Chuki Hain, Ab Larki Phir Larkay Say Mukhatib Ho K Kehti Hai)
Main Janti Thi Muqaddar Mein Nahi Mere Khushiyan,
Ab Phoolon Ko Baalon Mein Sajaun Gi To Kesay ?
Teri Chahat Or Yaadon Say Bhara Hai Mera Dil
Naye Hamsafar Ko Dil Mein Basaaon Gi To Kesay ?
Palkon Ko Num Rehnay Ki Aadat Si Ho Gai Hai
Kajal Ko Aankhon Mein Lagaon Gi To Kesay ?
Aaj Shadi Ki Baat Hui Thi Ghar Mein
Hamari Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?
(Larka Wohi Be_bassi Ka Muzahira, Zindagi K Taanay Wegaira Day K Kehta Hai)
"Kuch Siskiyan Si Mann Mein Ubhar Rahi Hain
Pachtaway Gi Aag Ko Bujhaaon Ga To Kesay ?
Tumhari Shadi Pay Bulaya Hai Mujh Ko
Ye Galiyan Ye Chubaray Sajaaon Ga To Kesay ?
Ab Guzray Ga Din Raat Teri Yaad Mein
Apne Dil Yaadon Ko Mitaon Ga To Kesay ?
Na Kishti Doobi Na To Kinaray Lagay
Toofani Zindagi Se Lehrain Bechayein Gay To Kesay ?
Jo Ik Doosray K Bin Rehtay Thay Na Kabhi,
Naqsh Yaadon K Dil Se Mitayein Gay To Kesay ?
Muhabbat Miti Hai Aur Mit'ti Rahay Gi
Kisi K Liye Jagah Dil Mein Banao Gay To Kesay ?
Aaj Shadi Ki Baat Hui To Us LARKI K Ghar Mein
Dono Hi Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?

Sari Raat Ki Jagi Aankhein, College Mein Kya Parrhti Hon Gi,




Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
College Mein Kiya Parrhti Hon Gi,
Yonhi khoye, Dil Hi Dil Mein..
Jaanay Kiya Kiya Karti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jaagi Aankhein..
Koi Bolay, Kaan Na Dharna..
Koi Hillay To Ek Dam Darna..
Koi Daikhey In Ka Barhna..
Apne Aap Say Larti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
Apni Kitaabein Phartey Rehna..
Us ki Baatein Kartey Rehna..
Us ki Yaadein Ghartey Rehna,
Jeetay Jeetay Marti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
College Mein Kiya Parrhti Hon Gi,

Poet: Wasi Shah

Roz Kehta Hoon Bhool Jaon Usay Roz Ye Baat Bhool Jata Hoon


 


 Roz Kehta Hoon Bhool Jaon Usay Roz Ye Baat Bhool Jata Hoon


Guzar Gaya Jo Zamana Usse Bhulla Hi Do

Jo Nakhsh Ban Nahi Sakta Usse Mita Hi Do

Khule Ga Terk e Taalluq K Baad Baab e Fana

Yeh Ek Aakhri Perda Bhi Ab Utha Hi Do

Guzar Gaya Jo Zamana Usse Bhula Hi Do

Guzar Raha Hai Jo Lamha Usay Amar Ker Le

Main Apne Khoon Se Likhta Hoon Tum Gawahi Do

Guzar Gaya Jo Zamana Use Bhula Hi Do

Kisi Tarah Se Taghafful Ka Baab e Shauq To Khule

Nahi Main Piyar K Qabil To Kuch Saza Hi Do

Ruki Ruki Si Hawa Hai Thaka Thaka Hai Chand

Wafa K Dusht Main Hairan Khare Hain Raahi Do ...

Sung by Hamid Ali Khan

Ik Tum Hi Bachay Thay Kya, Duniya Mein Dil Lagaanay K Liye,

 
Ik Tum Hi Bachay Thay Kya, Duniya Mein Dil Lagaanay K Liye,
Tum Nay Dil Ko Dharkaya, Tum Nay Dil Ko Tarpaya,

Be_Wafa Tere Sang Wafa Ki Umeed Kar Baithay,
Kya Karein Sanam Hum To tum Pay Hi Mar Baithay,

Ik Tum Hi Bachay Thay Kya, Duniya Mein Dil Lagaanay K Liye,
Tum Nay Dil Ko Dharkaya, Tum Nay Dil Ko Tarpaya,

Tum Nay Bari Bechaini Di Phir Bhi Tum Pay Piyar Aaya,

Lamha Lamha Sanam Guzara Hai Teri Chahat Mein,
Tanha Tanha Raha Ye Dil, Hum Jiye Teri Hasrat Mein,

Ik Tum Hi Bachay Thay Kya, Duniya Mein Dil Lagaanay K Liye,

Aafreen Tera Chehra, Aafreen Teri Aankhein,
Tera Piyar Paana Hai Chaahay Jo Ho,

Haal Kya Kar Gaya, Junoon Dil Ki Be_Qaraari Ka,
Kis Qadar Chhaya Rang Ye, Ulfaton Ki Khumaari Ka,

Tum Nay Dil Ko Dharkaya, Tum Nay Dil Ko Tarpaya,
Ik Tum Hi Bachay Thay Kya, Duniya Mein Dil Lagaanay K Liye .....

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai


Ishq Sehra Hai K Darya Hai Kabhi Socha Tu Ne

 
Ishq Sehra Hai K Darya Hai Kabhi Socha Tu Ne
Tujh se Kya Hai Mera Nata Kabhi Socha Tu Ne
 
Haan Me Tanha Hun Ye Iqrar Bhi Karta Hun
Khud Bhi Kitna Tu Tanha Hai Kabhi Socha Tu Ne
 
Ye Alag Baat Hai Jataya Nhi Me Ne Tujh Ko
Warna Kitna Tujhe Chaha Hai Kabhi Socha Tu Ne
 
Tujhe awaz Likha, Phool Likha
Main Ne Kya Kya Tujhe Likha Hai Kabhi Socha Tu Ne
 
Mutmain Hun Tujhe Lafzon Ki Hararat De Kar
Main Ne Kitna Tujhe Socha Hai Kabhi Socha Tu Ne ?

Hamari Muntazir Aankho'n Ko Uss Ki Deed Kab Ho Gi ?


Suna Hai Chaand Niklay Ga
Suna Hai Eid Bhi Ho Gi
Hamein To Aasman Per Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikhta
Kahan Wo Chaand Niklay Ga ?
K Jis k Waastay Hum Nay
Kabhi Palkei'n Nahi Jhapki'n
Wo Jis Ka Rasta Taktay
Hai Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar K Wo
Nikley Ga to Kab Aakhir ?
Hamari Muntazir Aankho'n Ko
Uss Ki Deed Kab Ho Gi ?
Abhi Poocho Nahi Hum Say
Humari Eid Kab Ho Gi ?

Rasm-e-Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai,


Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai,
 
Ishq Is Tarah K Gustaakh Taqaazay Na Karay,
Husn Mastoor Bhi Majboor Bhi, Maghroor Bhi Hai,
 
Ghuroor e Husn K Sadqay Mohabbat Yoon Nahi Kartay,
Bhari Mehfil Mein Zaahir Dil Ki Wehshat Yoon Nahi Kartay,
 
Ye Maana Tum Haseen Ho Aur Tumhein Haq Hai Shararat Ka,
Kisi Ki Jaan Pay Bann Jaye, Shararat Yoon Nahi Kartay,
 
Jisay Tum Husn Kehtay Ho, Wo Kaaba Hai Nighaahon Ka,
Adab Laazim Hai Kaabay Ki Ziyarat Yoon Nahi Kartay,
 
Kuch Apne Husn Ki Khairaat Day Do Hum Faqeeron Ko,
Kisi Saa'il Ko Apne Dar Say Rukhsat Yoon Nahi Kartay,
 
Haya Aur Sharm Ko Hum Ko Hum Husn Zaiwar Samajhtay Hain,
Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye, Sakhaawat Yoon Nahi Karatay,
 
Tumhari Ik Nazar Par Faislaa Hai Zindgani Ka,
Maseeha Ho K Bemaaron Say Ghaflat Yoon Nahi Kartay,
 
Maseeha Aur Hum ? In Kufr Ki Baaton Say Baaz Aao,
Khuda Ko Chor Kar Butt Ki Ibaadat Yoon Nahi Kartay,
 
Aap Nay Jo Kaha Wo Theek Sahi, Mera Kehna Bhi Bura Nahi, 
Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
 Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai .....

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon, Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?
Nakaam Nahi, Nashaad Nahi,
Main Qais Nahi, Farhad Nahi,
Punno Bhi Nahi, Ranjha Bhi Nahi,
Wamiq Bhi Nahi, Mirza Bhi Nahi,
Wo Log To Bas Afsana Thay
Is Shiddat Se Be-Gaanay Thay
Main Zinda Ek Haqeeqat Hoon
Men Jazba-e-Ishq Ki Shidat Hoon
Main Tum Ko Dekh K Jeeta Hoon
Har Lamha Tum Pay Marta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?
Tum Jahan Bhi Baith K Jatay Ho,
Jis Cheez Ko Haath Lagatay Ho,
Main Waheen Baith Jata Hoon,
Us Cheez Ko Chhoota Rehta Hoon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?
Jab Hath Dua Ko Uthtay Hain
Alfaaz Kaheen Kho Jatay Hain
Bas Dheyaan Tumhra Rehta Hai
Aur Aansu Behtay Rehtay Hain
Hum Aisi Mohabbat Kartay Hain,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?
Tere Naam K Saaray Lafz Mujhe,
Mo'atbar Say Lagtay Hain Meri Jaan,
Tere Naam Ko Likhta Rehta Hoon,
Tere Naam Ko Choomta Rehta Hoon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?
jo Baat Bhi Tum Keh Deti Ho,
Wohi Baat Amar Ho Jati Hai,
Wohi Baat Main Kehta Rehta Hoon,
Wohi Baat Ghazal Kar Deta Hoon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon,
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho ?

Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu ...


Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu
Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu.
Ajeeb Shay Hai Mohhabbat , K Hum Kaheen Jayein
Tere Khareeb Hoon Main, Mere Aas Paas Hai Tu.
Kab Yeh Mumkin Hai K, Koi Humko Juda Kar Jaaye
Main Hoon Na Hoon Meri Jaan , Mera Maas Hai Tu.
Bandh Hothon Pay Meri, Reath Jamee Jaati Hai
Tu Mere Paas Hai Aur Phir Bhi, Meri Pyaas Hai Tu
Main Nay Khud Ko Faramosh Kiya Tere Liye, 
Aam Hai Saara Jahan, Mere Liye Khaas Hai Tu.
DarmiyaaN Tere Mere Jab Say Log Aanay Lagay,
Main Us K Baad Say Tanha Hoon Aur Be-Aas Hai Tu .
Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu
Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu ...

*****************************************
Poet : Wasi Shah