Saturday 15 February 2014

Rasm-e-Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai,


Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai,
 
Ishq Is Tarah K Gustaakh Taqaazay Na Karay,
Husn Mastoor Bhi Majboor Bhi, Maghroor Bhi Hai,
 
Ghuroor e Husn K Sadqay Mohabbat Yoon Nahi Kartay,
Bhari Mehfil Mein Zaahir Dil Ki Wehshat Yoon Nahi Kartay,
 
Ye Maana Tum Haseen Ho Aur Tumhein Haq Hai Shararat Ka,
Kisi Ki Jaan Pay Bann Jaye, Shararat Yoon Nahi Kartay,
 
Jisay Tum Husn Kehtay Ho, Wo Kaaba Hai Nighaahon Ka,
Adab Laazim Hai Kaabay Ki Ziyarat Yoon Nahi Kartay,
 
Kuch Apne Husn Ki Khairaat Day Do Hum Faqeeron Ko,
Kisi Saa'il Ko Apne Dar Say Rukhsat Yoon Nahi Kartay,
 
Haya Aur Sharm Ko Hum Ko Hum Husn Zaiwar Samajhtay Hain,
Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye, Sakhaawat Yoon Nahi Karatay,
 
Tumhari Ik Nazar Par Faislaa Hai Zindgani Ka,
Maseeha Ho K Bemaaron Say Ghaflat Yoon Nahi Kartay,
 
Maseeha Aur Hum ? In Kufr Ki Baaton Say Baaz Aao,
Khuda Ko Chor Kar Butt Ki Ibaadat Yoon Nahi Kartay,
 
Aap Nay Jo Kaha Wo Theek Sahi, Mera Kehna Bhi Bura Nahi, 
Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
 Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai .....

No comments:

Post a Comment